Ye chip-chip, ye sweating, ye garmi ke din;
Light ka lamba cut, or paani ka time table set;
Ek second mein mausam ka badlna,
Kbi suraj ka aag uglna, kbi kale badal ka chaana,
Kbi tp-tip, kbi cham – cham barsaat ka barasana,
Khi sukha padna toh khi baad ka aana;
Baagon mein mor ka naachna or phoolon ka muskurana;
Or iss mausam ka humara luft uthana
Kuch khaas hi hai….
Aaloo-pyaaj ki pakodi, kulahd ki chai or garma –garam jalebi;
Khuli- lambi road or doston ka sth, khub saari shaitaani or dher saari gup-shup;
Chote bachon ki kagaz ki naayon or
Chaiyi-chappa-chaiyi, khil-khilati hui toil;
Romantic songs ko gaate hue naachna or
Kuch khaas paloon ko yaad krna.
Galiyon mein kichd, tuti hui roadon pr lamba jaam;
Iss mausam ke pher badl mein khaasi, bukhar or jukaam;
Jinpe koi dawaa kaam naa aaye tb,
Maa ke haath ka besan ka halwa Raam band ki trh kaam kr jaye.
Ruthon ko mnaa jaye, udaason ko khushi de jaye,
Pyaasi dharti ki pyaas bhujha jaye….
Hayee!! Ye mausam kyu naa purey saal rhe jaye….